पहली नज़र
उस से कहो इक बार और देख कर आज़ाद कर दे मुझे
के मैं आज भी उस की पहली नज़र की क़ैद में हूँ
Pehli Nazar
Us se kaho ik baar aur dekh kar AAZAAD kar de
mujhe
Ke main aaj bhi us ki pehli nazar ki qaid main hoon
Ke main aaj bhi us ki pehli nazar ki qaid main hoon
तेरी बेवफ़ाइयों पर
मुझे अजमाने वाले मुझे अजमा के रोये
मेरी दस्ताने हसरत सुना सुना के रोये
तेरी बेवफ़ाइयों पर , तेरी कज आदइयों पर
कभी सर छुपा के रोये , कभी मुँह छुपा के रोये
जो सुनाई अंजुमन में शब -ऐ -ग़म की आपबीती
कभी रो के मुस्कराए , कभी मुस्करा के रोये
मैं हूँ बे -वतन मुसाफिर , मेरा नाम बेकसी है
मेरा कोई भी नहीं है जो गले लगा के रोये
मेरे पास से गुज़र कर मेरा हाल तक न पुछा
मैं यह कैसे मान जाऊं के वो दूर जा के रोये
Teri Bewafaiyon Par
Mujhe Azmane Wale Mujhe Azmaa ke Roye
Meri Dastane Hasrat Suna Suna
ke Roye
Teri Bewafaiyon Par, Teri Kaj Adaiyon Par
Kabhi Sar chupa Ke Roye, Kabi
Munh Chupa Ke Roye
Jo Sunai Anjuman Men Shab-ae-Gham Ki Apbiti
Kabhi Ro ke Muskaraye, Kabhi
Muskara Ke Roye
Main Hoon Be-Watan Musafir, Mera Naam Bekasi
Hai
Mera Koi Bhi Nahin Hai Jo Gale
Laga Ke Roye
Mere Paas Se Guzar Kar Mera Haal Tak Na Poocha
Main Yeah Kaise Maan Jaun Ke Wo
Door Ja KE Roye
ज़िंदगी कुछ भी नहीं फिर भी जीये जाते हैं
तुझपे ऐ वक़्त एहसान किये जाते हैं .
कुछ तो हालात ने मुजरिम हमें ठहराया है
और कुछ आप भी इलज़ाम दिए जाते हैं .
छीन ली वक़्त ने उल्फ़त के ग़मों की दौलत
खाली दामन है वही साथ लिए जाते हैं .
ज़िंदगी क्या है कोई जाने कफ़न है ‘फ़क़ीर’
उम्र के हाथों हम जिसको सिये जाते हैं .
Zindgi kuch bhi nahin phir bhi jiye jaate hain
Tujhpe ae waqt ehsaan kiye
jaate hain.
Kuch to halaat ne mujrim hamain thehraya hai
Auar kuch aap bhi ilzaam diye
jaate hain.
Cheen li waqt ne ulfet ke gamon ki daulet
Khaali daaman hai wahi saath
liye jaate hain.
Zindgi kya hai koi jaane kafan hai ‘Faaqir’
Umra ke haathon hum jisko siye
jaaate hain.
